Sunday, 25 July 2010

Kya keemat dil ki?


Kya keemat Dil ki dil walon,
Dil ka to daam nahi hota,
Kuch aise rishte hote hain,
Jinka koi naam nahi hota,
Hum keh nahi paate unse kuch,
Aisa bhi mukaam aa jata hai,
Nazron ko zubaan mil jati hai,
Lab pe paigaam nahi hota,
Kya keemat Dil ki dil walon,
Dil ka to daam nahi hota.

No comments:

Post a Comment