Saturday, 27 October 2012

Alvida Keh Do...


ALVIDA KEH DO
Ab waqt-e-judai hai muje
alvida keh do....

Ab jane ka waqt hai mujhe
alvida keh do....♥
Mai bakhsish ka zriya tha
tumhare liye....
Dil ro raha ha magar ab
alvida keh do.....

Tumhe afsosh to hoga
mere jane par....
Aaunga na lout ke phir ab
alvida keh do....

Tumhare liye rehmat ki
waja tumhari bakshish ka
sabab.....
Kar lo Khuda ko razi to
mujhe ab alvida keh do.....

Maine tumhe chalna sikha
diya manzilon ka pta bata
dia.....
Main na chal sakunga tumhare saath
ab alvida keh do......

No comments:

Post a Comment